Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]


Saaye-e-Deewar Bhi Nahi OST Lyrics HUM TV

Ishq hua hai aisa, hum sab bhool gaye
Chaha main teri yara, sori jhool gay
Khud ko fana kar ke, bik be-mool gay
Sab say alag se alag huye toh zinda thay
Rab se alag huye toh raha kuch nahi
Ab kahi Saya-e-Dewar Bhi Nahi

Ranjha ranjha kardi main api ranjha hoyi
Ranjha ranjha sadoo menu heer na aakho koi

Roh say teri rooh ka mere, rishta hai aisa
Jism juda hai, saansein juri, hain aks tere jaisa
Rahoon ki teri hum, banain hain dhool gay
Sab say alag se alag huye toh zinda thay
Rab se alag huye toh raha kuch nahi
Ab kahi Saya-e-Dewar Bhi Nahi

Ranjishein bhi thi, chahte bhi thi, dooriyan bhi thi darmiyan
Ranj ka alam chaya hai aisa, Khud ko chupaon kahan
Pinjra toor chalay, hum mo moor chalay
Sab say alag se alag huye toh zinda thay
Rab se alag huye toh raha kuch nahi
Ab kahi Saya-e-Dewar Bhi Nahi

Jab teri shan-e-karimi pe nazar jati hai
Zindagi kitni marahil say guzar jati hai
Bay talab diya jata hai mujhe dene wala
Hath uthte nahi jholi meri bhar jata hai

Apnay khuda ko chorkay kar hum, Baaghi jab say huye
Sehra, jangal, darya, badal zor se bol paray
Allah!! Allah!! Allah!! Allah!!
Dharti bhi thar that kaanp rahi hai, dil yeah patoon sa larzay
Allah!! Allah!! Allah!! Allah!!
Dam atka hai seene mein aise, mafi kay rastay khol day mery
Allah!! Allah!! Allah!! Allah!!

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad [Post Page]