Is Pal Ko Lyrics by Ali Quli Mirza & Mustafa Khan is latest Hindi song composed by Atif Ali and its lyrics are written by Flint J. Faisal Khan has produced it while Team Dg has directed its music video.
Is Pal Ko Lyrics by Ali Quli Mirza & Mustafa Khan
Song: Is Pal Ko
Singers: Ali Quli Mirza, Mustafa Khan
Musicians: Atif Ali
Lyricists: Flint J
Is Pal Ko Lyrics by Ali Quli Mirza & Mustafa Khan
Apna andaz hai naya
Sur bhi aur saaz bhi naya
Karne hain aaye hum yahan
Dil ki baatein
Hoga tumne bhi yeh suna
Kuchh pal ki roshni yahan
Milkar samet lein
Yeh kho na jaayein
Roke koyi rok na sake
Aaj hum nahin sun’ne wale
Karni hain manmaniyan
Toke humein tokte rahein
Par kisi ki nahin chalne wali
Karni hain shaitaniyan
Is pal ko aao jee lein zara
Sunenge aaj dil ki sadaa
Is pal ko aao jee lein zara
Aa kar lein jo kabhi na kiya
Dekho kaisa hai yeh samaa
Khushiyon se aaj hai bhara
Phir ghumsum tu kyun khada
Mere yaara
Jo hai mera woh hai tera
Kuchh bhi tujhse hai na chhupa
Aisi hai apni yaariyan
Jaane zamana
Roke koyi rok na sake
Aaj hum nahin sun’ne wale
Karni hain manmaniyan
Toke humein tokte rahein
Par kisi ki nahin chalne wali
Karni hain shaitaniyan
Is pal ko aao jee lein zara
Sunenge aaj dil ki sadaa
Is pal ko aao jee lein zara
Aa kar lein jo kabhi na kiya
Teri aur meri yaari
Pad gayi duniya pe bhaari
Sadti kyun duniya humse
Yeh baat samajh nai aari
Sun mere bhai gusse ko hata
Chal aakar humse hath mila
Aaja kar lein party milkar
Abhi to padi hai raat saari
Yaaron ne hai raat saja di
Ho jave na koyi kharabi
Lagte hain hum seedhe saadhe
Par hai shauk nawabi
Top to bottom pehna maine
From Gucci to Versace
Aaja tujhko gehdi lawaan doon
In my latest Ferrari
Is pal ko aao jee lein zara
Sunenge aaj dil ki sadaa
Is pal ko aao jee lein zara
Aa kar lein jo kabhi na kiya...
No comments:
Post a Comment