Aye Mere Khuda lyrics from 1.13.7 Ek Tera Saath(2016) movie is penned by A.M. Turaz, sung by Rahat Fateh Ali Khan, music composed by Liyakat Ajmeri, starring Sharad Malhotra, Hritu Dudani, Melanie Nazereth, Vishwajeet Pradhan, Deepraj Rana, Gargi Patel, Aprajita Mahajan, Anubhav Dhir.
Movie: 1.13.7 Ek Tera Saat
Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Lyricist: A.M. Turaz
Music: Liyakat Ajmeri
Music On: Zee Music Company
Year: 2016
Aye Mere Khuda Lyrics Ek Tera Saath l Rahat Fateh Ali Khan
Kya cheez zindagi hai mehsoos kiya hota
Tukdo mein agar bata-te main yun na jeeya hota
Aye mere khuda tune itna to kiya hota
Yaa dil na diya hota ya gham na diya hota
Yaa dil na diya hota ya gham na diya hota
Main kaise sahoon badhti huyi ye dooriyan
Le leti hai jaan pal pal meri majbooriyan
Ab dil ko sambhalu main yaa khud ko sambhalu
Tu hi bata de tanha main kis kis ko sambhalu
Kya mera ab kahin koi bhi na raha
Zindagi taras gayi sunne ko ek sada
Mujhko bhi sambhal ne ko koi to diya hota
Yaa dil na diya hota ya gham na diya hota
Yaa dil na diya hota ya gham na diya hota
Yun tanhaai se jud gaya sil sila
Haan mujhko kabhi dukh se siva kuch na mila
Zakhmo se nahi shikva par marham to lagata
Mere liye bhi raahat ka ek lamha to banata
Kis khata ki sazaa di mujhe ye bata
Tujhpe itna kya itna bhi haq nahi tha mera
Jaake daaman mera thoda to siya hota
Yaa dil na diya hota ya gham na diya hota
Yaa dil na diya hota ya gham na diya hota
Kya cheez zindagi hai mehsoos kiya hota
Tukdo mein agar bata-te main yun na jeeya hota
Aye mere khuda tune itna to kiya hota
Yaa dil na diya hota ya gham na diya hota
Yaa dil na diya hota ya gham na diya hota...
No comments:
Post a Comment