Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Saleem is a mechanic by profession and belong to a lower class family but he is the prince of hearts... For every prince there is a princess and he is waiting for her..
No matter what people think about him but his father has always treated him as his beloved “Shehzada” Saleem might not be that good looking guy but for his mother he is one of the most handsome man and she will find the most beautiful girl for him.
Shazia belongs to a middle class family but her dreams are big.. Her prince charming will come. He may not be riding a white horse but he will treat me as his princess and it will be better than any fairytale. Faisal is  Shazia’s childhood friend and her dream life partner. Is he the one she was dreaming for? Would she ever accept him as her Shehzada Saleem?


OST Shahzada Saleem Lyrics ARY
Digital Serial...

Kuch kaho na tum kaho
Kuch sunein na ham sunein
Guftago jaisi ye khamoshiyan
Tot-te khawab kiun be-waja hai be-sukoon
Ik saza ki tarha tanhaiyan

Najane kese din guzare hain
Ke jaise ham do kinare hain
Naseebon ke hon jo bhi faisle
Mano na mano ham tumhare hain
Tumhare hain tumhare hain

Kuch kaho na tum kaho
Kuch sunein na ham sunein
Guftago jaisi ye khamoshiyan

Sar pe saya nahi rahta to azab aate hain
Bunte bunte hi kai khawab bikhar jate hain
Sath rahne ka bhi gham, sath na rahne ka bhi gham
Ye jo rishte hain kisi dard ke naate hain
Chup rahein to dukh sahein
Kuch kaehin to kiya kahein
Sath chalti hoi parchain
Tot-te khawab kiun be-waja hai be-sukoon
Ik saza ki tarha tanhaiyan

Khwahishein apni jo kaghaz ki tarha jalti hain
Roz hi dobte soraj ki tarha dhalti hain
Dharkanein dhondti rahti hain kisi ko lekin
Ab to rukne ke liye sansein meri jalti hain
Manzilein hain be-nishan, jaein bhi ham to kahan
Ab hain charon taraf veeraniyan

Tot-te khawab kiun be-waja hai be-sukoon
Ik saza ki tarha tanhaiyan....

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad [Post Page]