Hawwa Ki Beti Lyrics
Talha Anjum from Young Stunners raised his voice against the injustice and cruelty with Women of our society and released a song titled as Hawwa Ki Beti
Lyrics:
Hawwa ki beti ka qissa mein btata hu,
Shaitan kya kuch karwa sakta hai mein dikhata hu,
Jo kahu ga 100 feesad sach hai,
Tum suntay jao,
Aur saath saath dimagh mein tasveer banao,
Lekin agar tum wo ho jo sach sun na nahi chahtay
Tou jaakay koi sasta music channel lagao,
Is gaanay mein na maza na tafree na sur na taal
Is gaanay mein samjhau ga tumhein mein surat e haal,
Aik larki jo badsurat tou nai par haan bad naseeb thi,
Ameer baap ke bigray bete ke uspe gandi niyat thi,
Us larki ke teri tarah kuch chotay motay khuaab thay,
Parh likh kar kuch ban jau par khuaab sirf khuwaab thay,
Paise jor jor ke daala usay aik baray school mein,
Jahan ameero ke bachay aya kartay fazool mein,
Us baa parda larki ki aankhein jhukki rehti thein,
Aankhein kirdaar ke baaray mein sab kuch kehti thein,
Par uski izzat se tera aur mera kya lena dena?
Jahan kuch galat ho tum foran ban jao nabeena,
Aam sa din, school chutta, wo nikli ghar ki taraf,
Ghar pe maa intizaar mein dekhe darwaazay ki taraf,
Chorus:
Roti hawwa ki beti,
Adam ka beta hansta,
Iblees dimagh mein nahi humaray dilo mein basta,
Dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt,
Khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud (x2)
Verse2:
Wo chaltay chaltay soch rahi thi ghar pohonch jau,
Maa thakki hogi jaake uske haath battau,
Aik dum haath aya dupattay pe uskay aur wo dar gai,
Larkay ne dupatta khencha tou wo bhaagi aur gir gai,
Zabardasti usay uthaya wo cheekhi.. Chillai,
Par afsos wahan logo ko koi awaaz na ayi,
Larkay 4 thay aur wo akeli jaan ab kya karti?
Kaise apne sharam aur lihaaz ke liye larti,
Band kardiya darwaazay aur tezi se gaari chala di,
Aur yahan se shuru hoti hai uski barbaadi,
Wo larkay nidar ho kar uski haalat pe hans rahay thay,
Aur wo bechari, jiske aansu nahi tham rahay thay,
Wo jaise he boli ke khuda ke liye aisa mat karna,
Thappar maaray kapray phaaray karne lagay zanna
Baari baari chaaro ne zanna ka gunnah kiya,
Haath mu pe rakha usay kuch na kehne diya,
Bohot azziyat mein thi bechaari kuch keh bhi nahi paa rahi,
Soch rahi hai ke usay maut kyun nai arahi,
Un mein se aik larka, jo tha hawas ke nashay mein andha,
larki ka zor se haath mora tor diya kandha,
Wo bhi kisi ki behen hai ye kisi ne na socha,
Aur phir usne hawaa ki beti ka galla daboch,
Saans na mil saka tou wo haath pair maarne lagi,
Na zinda ghar jaanay ki phir uski umeed jaggi
Dimagh uska band aur uska, aur wo sehem gai,
Aur larkay nashay mein dhutt, hosh nahi,
‘mar chuki hai saali, aik larka hans kar kehta, waise maal virgin tha,
Varna itna khoon na behta’,
Chorus:
Roti hawwa ki beti,
Adam ka beta hansta,
Iblees dimagh mein nahi humaray dilo mein basta,
Dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt, khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud (x2)
Bahar phenki laash aur guzaar di upar se gaari,
haddiya tooti par awaaz na nikaal saki bechari ,
Uske be pardah jism se bohot khoon baha tha,
Par is waqeya ka na saboot na koi gawah tha,
Tum socho ge talha ko ye sab kaise pata laga?
Aray un chaaro mein se aik larka talha anjum tha,
Sharaab ne mujhay lagaya tha is wehshi kaam mein,
Wo rota chehra aaj bhi aati hai mere saamne,
Kehti hai mein zinda thi saansein bhi chal rahi thiein
Ab barhangi karke phenka tha mujhay medaan mein,
Wo beti hawa ki aur mein adam ka beta,
Tou adam ka beta shaitaan ka saath kyun deta?
Shaitaan he tha jisne adam ko sajda nahi kiya,
Aur mere zariye usne phir hawwa se badla liya,
Jo baat saalo se dil mein thi wo aaj bol raha hu,
Aaj mein auro ke nahi apne pol khol raha hu,
Beshak dozakh ki aag tayar hai mere liye,
Farishto ne bhi kitaabo se haath utha liya,
Itna be hiss hu ke mujhse roya nahi jaata,
Apna khoon se bharra chehra bhi dhoya nahi jaata
Chorus:
Roti hawwa ki beti,
Adam ka beta hansta,
Iblees dimagh mein nahi humaray dilo mein basta,
Dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt,
Khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud (x2)
No comments:
Post a Comment